Frequently Asked Questions (FAQs)
Ammara Jewels se shopping karne se pehle aksar poche jane wale sawalat ke jawab yahan diye gaye hain.
1. Kya Cash on Delivery (COD) available hai?
Ji haan! Pooray Pakistan me Cash on Delivery available hai. Aap apna order ghar bethe receive karen aur payment rider ko de dein.
2. Delivery me kitna time lagta hai?
Order confirm hone ke baad aam tor par 2 se 4 working days me delivery ho jati hai. Door daraz ilaqon me thora zyada waqt lag sakta hai.
3. Kya aapki jewelry real gold hai?
Nahi, hamari jewelry real gold nahi hai. Ye premium quality gold-plated artificial jewelry hai jo dekhne me bilkul real gold jaisi lagti hai.
4. Return ya exchange policy kya hai?
Aap 7 din ke andar product return ya exchange kar sakte hain, bashart ye ke product istemal na hua ho aur original packing me wapas bheja jaye.
5. Ring ka size kaise maloom karen?
Aap hamari website par mojood ring size guide se apna size asani se maloom kar sakte hain. Phir bhi confusion ho to order karne se pehle WhatsApp par hum se rabta karen.
6. Kya gift wrapping available hai?
Ji haan, gift wrapping available hai. Apne order ke sath note me “gift wrapping” likh dein, hum aapka order khubsurat gift packing me bhej denge.
7. Payment ke kaun se tareeqe available hain?
Hum Cash on Delivery (COD) aur bank transfer dono accept karte hain. Aap apni sahulat ke mutabiq koi bhi tareeqa chun sakte hain.
8. Kya products ki koi warranty hai?
Ji haan, manufacturing defect ki surat me 7 din ki exchange warranty di jati hai. Parcel milne par product foran check karna na bhoolen.
9. Apna order kaise track karen?
Order dispatch hone par aapko tracking number SMS ya WhatsApp ke zariye bhej diya jata hai, jis se aap apne parcel ki location maloom kar sakte hain.
10. Kya wholesale ya bulk orders available hain?
Ji haan, wholesale aur bulk orders ke liye aap WhatsApp par hum se rabta kar sakte hain. Bulk orders par khususi discount diya jata hai.
11. Jewelry ka color kharab hone se kaise bachayen?
Jewelry ko pani, perfume aur paseene se door rakhein aur istemal ke baad dry box me mehfooz karen. Munasib care se is ka color lambe arse tak qaim rehta hai.